Saturday, March 31, 2012

Dil lagi thi usse hum se mohabbat kub thi

Mil Jaye Ga hmain bi koi toot k chahnay wala

Go dil ko bohot bachaya hum ne


                                                Go dil ko bohot bachaya hum ne 

                                            jis jaga zakham ho wahan  chot sada lagti he

Thursday, March 29, 2012

Nadan Hai Kitna Woh Kuch Smajta Hi Nhi





                                       Nadan Hai Kitna Woh Kuch Smajta Hi Nhi

                              Seene Se Laga K Poochta Hai K Dharkane Taizz Kyun Hain

sad Poetry Pictures, Beautiful poetry Pictures




Sad poetry picutres

chupke se bhaija tha usay aik gulab magar

What is it in you and me incomprehensible

Lamhe Ye Suhane Saath Ho Na Ho

Tuesday, March 27, 2012

Ishq mein bojh utha-tay huye maloom hua


Ishq mein bojh utha-tay huye maloom hua
darbadar khaak urhate huye maloom hua
log jo pyar nibhatay hein wali hote hein
ye tera pyar nibhatay huye maloom hua
ashk bhi niklay nahi ro bhi liya hum ne
ye tere sheher se atay huye maloom hua

Maghroor to hona hi tha unko hamari chahat ki shiddat dekh kr


?? Maghroor to hona hi tha unko hamari chahat ki shiddat dekh kr??

?? Magr wo apni qadar ki soch mein hamari qeemat bhool gaye?? 


Taskeen Dil ke liye Gufgu karte hain log

Taskeen Dil ke liye Gufgu karte hain log
maluoom to hamen bhe ha ke hum kisi ko achye nai lagte

Taqdeer ko badal detay hain pukhtaa iraaday

Taqdeer ko badal detay hain pukhtaa iraaday

Qismat mohtaaj nhi hoty hay hathon ki lakiron ki..


Maghroor to hona hi tha

♥♥ Maghroor to hona hi tha unko hamari chahat ki shiddat dekh kr♥♥

♥♥ Magr wo apni qadar ki soch mein hamari qeemat bhool gaye♥♥


Kese Bhulaa Dun Us Ko Main

‎*** Kese Bhulaa Dun Us Ko Main ..???
~♥♥~Honey~♥♥~
.
*** Maut Insano KO aTi Hai ^Yaadon^ ko nahi.


Mujhe Chand Tujhe se gila nai tari rosni bari door hai





Best Poetry Images





Beautifull Images with Poetry





bs aik pal ki musarat ki justaju k liye

bs aik pal ki musarat ki justaju k liye 

na janay kitni dafa dil ko sogwar kia


Rehny de ye kitaab tery kaam ki nahi,

Rehny de ye kitaab tery kaam ki nahi,
Is mai likhy hue hain Wafaaon k Tazkry..


Tujh Ko Aankhon K Dareechon Se Juda Kaise Karon

Tujh Ko Aankhon K Dareechon Se Juda Kaise Karon
Tu Meri Zaat K Har Pehlu Se Bayaan Hotaa Hai..!!


Khuda Naseeb Karey Unko Daimi Khushyaa

Khuda Naseeb Karey Unko Daimi Khushyaa'n ...!

"Adam" Wo Log Jo Hum Ko Udaas Rakhte Hain ...!


Majboriyoon k naam pay daman bacha gaey

Majboriyoon k naam pay daman bacha gaey
Wo Log jin ko Ishq mein daava wafa ka tha…!!


Es se Pehle Ke Bewafa Ho Jayein,

Es se Pehle Ke Bewafa Ho Jayein,
Kyon Na Aye Dost Hum Juda Ho Jayein,

Tu Bhi Heere Se Ban Gaya Patthar,
Hum Bhi Kal Kya Se Kya Ho Jayein,


Mera seedha sadha mizaj tha

Mera seedha sadha mizaj tha
,
Mujhe ishq hone ki kya khabar,

Teri ek tabassum-e-naz ne,

Mere sare zoq badal diye…! —


Zindagi Dard K Sholon Se Hawa Deti Hai


Zindagi Dard K Sholon Se Hawa Deti Hai
Muhabbat Insan Ko Pagal Bana Deti Hai

Bin Muhabbat K Koi Jee Nahi Sakta
Nafrat Basher Ko Ander Se Jala Deti Hai

Kyun Darte Nahi Log Bad-Duaon Se
Bad-Dua Mazloom Ki Aasman Hila Deti Hai

Muhababt Tere Bus Ki Baat Nahi Mere Dost
Dunia Deewano Ko Diwaron Mai Chunwa Deti Ha
 

Ay Meray Zabt....!

Ay Meray Zabt....!
Tujhy Meray Asolun Ki Qasam!!!!

Meri Aankh Na Chalkay Un K Chalay Jany Tak...


Usey keh do k wo kisi or se ”mohabbat” ka na sochy

Usey keh do k wo kisi or se ”mohabbat” ka na sochy

Ek main hi kaafi hoon Usey umar bhar chahny k liye.♥

Tujhay Kiya Khaber aiy hum nashin


Tujhay Kiya Khaber aiy hum nashin yahan kitnay sadmay guzar gaiaiy
Tujhay yaad ayee bhe tau jab meray sapnay saaray bikhar gaiaiy
Teri bandagi k hasool main, main kahan kahan say guzar gaya
Mila mujh ko koe na aashiyan mairay din andhairon main dhal gaiaiy
Na he raaston ke khaber mili na he manzilon ka pata mila
Meri zindagi k wo char din issi jostujo main guzar gaiaiy
Koe pal sahara na daiy saka teri yaad say nijaat ka
Sobho sham rehay yehi mashghalay saaray ashk bai-asar gaiaiy
Tera dil jo bayqarar tha kabhi mujh pay dil-o-jaan say
Teray roothhnay say o sanum meray dil main khhanjar utar gaiaiy
Koe fiker laahuq na thhe humain kabhi apnay ranj-o-malal ke
Meray kal ore aaj k saaray dokh gham-e-hijran main badal gaiaiy
Kab hum nay jujh say gila kya kabhi apnay dard-e-baihaal ka
Baray hoslay ke ye baat thhe inhe hoslon main hum mar gaiaiy
Dil-e-natawan ke ye kaifiat, shaukat aag bun kar sama gaei
Janay kitnay mousam issi tara meray saahilon say guzar gaiaiy

Meri aankhon main Ansu aaye na hote,


Meri aankhon main Ansu aaye na hote,
Wo humein dekh kar muskuraye na hote,
Sochti hun aksar tanhai may main,
Meri zindagi main kash wo aaye na hote,
Na tarapte hum unke liye itna,
Dil ne khawab unke sajaye na hote,
Naa toot kar bikharti main is kadar,
Kash wo mere dil main apna ghaar banaye na hote….

Yaad ro ro ke teri satati rahi


Yaad ro ro ke teri satati rahi
Aag judai ki dil ko jalati rahi
Aandhiyan jab guzarti rahi baagh se
Shakh-e- gul apne sar ko jhukaati rahi
Apni mohabbat ki nakaamiyan kya kahoon
Khwaish-e-ishq har kadam mujhe rulati rahi
Woh doosron se has has ke milte rahe
Meri he badkismati ashq bahati rahi
Hum wafa jinse karte rahe umar bhar
Hum pe unki jafa muskurati rahi
Shayad kusur meri mohabbat ka he hai
Jo sab sehkar bhi unein chahti rahi

Guzarta hoon mein jab bhi tere


Guzarta hoon mein jab bhi tere sheher ki galiyon se,
Beeti sadayen rakss karti hain tere ashiyane se,
Karta hon yaad mein tujhe jab bhi,
Ik aaah si uthti hai mere seeney mein,
Puchte hain log mujhse be-basi ka sabab,
Kehta hon ke dil lagaya tha ek pathar se,
Mar kar bhi na bhula paaon ga mein woh lamhe,
Khelta tha mein jab bhi teri naachti zulfon se,
Rehta hai ik bacha sa mere wajood mein Husnain,
Behelta hai jo teri yaadon ke khilone se..

Koi gham, Koi Hijr-e-Aabshaar bhi nahi


Koi gham, Koi Hijr-e-Aabshaar bhi nahi
Dil ko magar pehla sa qarar bhi nahi
Talaash kar rehzano ke beech gham khawaro ko
Tere shehar ke sabhi loag adakaar bhi nahi
Haatho se apnay hi ghont dia ghala mohabbat ka
Bharay shehar mai hum sa koi Nadaar bhi nahi
Badal gya bichar kar, yun khad-o-haal tera
Chehray par ab tere wo Gull-Azaar bhi nahi
Kaha tha tum ne ke bhula de gaye ab uss ko
Aye dil-e-nadan tujh sa Ghadaar bhi nahi
Na nikaal mujhe apnay dil se Malazmo ki tarha
Mere pass to aur koi Rozgaar bhi nahi
” Hasnain ” Barsoo ke baad mila to yu laga mujh ko
Darmyan hamaray ab Ana’a ki deewar bhi nahi

Kabhi qurbat ke lamhon main


Kabhi qurbat ke lamhon main thhikana bhool jatay hain
Kabhi furqat ka teri hum fasaana bhool jatay hain
Sitam hay ye mohabat main tum jisko isqadar chaho
Oosi ke aarzo main hum zamana bhool jatay hain
Chhupa kar baithh jatay hain naseebon ka diya zaiwer
Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain
Bas apni zaat main kho kar apna he ziker karna
Kisi doojay ka koe gham othhana bhool jatay hain
Ser-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main
Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain
Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko
Khatam karkay wafa’on ka zamana bhool jatay hain
Tumhari aarzo main hum hooway roswa zamanay main
Ye marg-e-jaan say pehlay batana bhool jatay hain
Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ke halat ko
Magar apni khata’on ko dikhana bhool jatay hain

Saaray Dard Nazar Aayein Ge Ghar Se Baahir


Saaray Dard Nazar Aayein Ge Ghar Se Baahir
Jis Din Mein Nikloon Ga Pas-e-Manzar Se Baahir
Laakh Samaitay Rakhun Per Jaanay Anjaanay
Ho Jaatay Hain Paaon Mere Chaadar Se Baahir
Kub Se Hain Ankhiaan Tere Darshan Ki Pyaasi
Darsh Dikha De Aa Bhi Ja Pathar Se Baahir
Phele Jis Ki Aankh Nishaanay Per Thi Mere
Ab Wo Chirya Bhi Hai Had-e-Nazar Se Baahir
Aaj Bhi Mein Khul Kar Sach Bol Nahi Sakta Hun
Ab Bhi Nahi Hun Os Ke Hisaar-e-Shar Se Baahir
Jisko Mein Ne Sadi Ka Roop Dia Tha Azar
Ab Wo Lamha Bhi Hai Mere Asar Se Baahir

Sooni Hain Aankhon Ki Galyan Dil Ki


Sooni Hain Aankhon Ki Galyan Dil Ki Bastian Veeran Hai
Ek Khamooshi Ek Andhaira Chaaron Jaanib Raqsaan Hai
Kitni Door Chalaa Aaya Hun Chohr Ke Teri Basti Ko
Laikin Dil Teri Galyon Mein Aaj Talak Sar-Gardaan Hai
Phir Sooraj Ke Saath Tere Milnay Ka Imkaan Doob Gaya
Phir Baam-o-Dar Ki Tareeki Deeda-o-Dil Per Khandaan Hai
Phir In Pyaar Bhari Nadyon Ki Yaad Mein Aankhain Pur-Num Hain
Phir Os Bichhday Dais Ke Gham Mein Sheher-e-Dil-o-Jaan Veeran Hai
Jalib Aap Os Jaan-e-Ghazal Ke Pyaar Se Laakh Inkaar Karain
Aankhon Ki Pur-Soz Chamak Se Dil Ka Dard Numaaya Hai

Zamanay se nahi darta, Zamanay ko bata do tum,


Zamanay se nahi darta, Zamanay ko bata do tum,
Mohabbat naam hai mera, Zamanay ko bata do tum,
Dikhayi bhi nahi deta, kisi insaan ki aankho ko,
Judayi zakhm hai aisa, Zamanay ko bata do tum,
Najanay kyu Khatakta hu, mai ab un ki nigaho mai,
Mai thukrata hu ye dunya, Zamanay ko bata do tum,
Jala daalu ga teri bewafaa basti ki galiyo ko,
Mai hu ik aag ka darya, Zamanay ko bata do tum,
“Hasnain” Abhi to waqt un ka hai, rula ley jee bhar ke,
Hamara waqt bhi aaye ga, Zamanay ko bata do tum

Dil Jo Hai Aag Laga Doon Os Ko,


Dil Jo Hai Aag Laga Doon Os Ko,
Aur Phir Khud Hee Hawa Doon Os Ko,
Jo Bhee Hai Os Ko Ganwa Betha Hai,
Mein Bhala Kaisay Ganwa Doon Os Ko ?
Tujh Gumaan Per Jo Emaarat Ki Thi,
Sochta Hoon K Mein Dhaa Doon Os Ko
Jism Mein Aag Laga Doon Os Ke,
Aur Phir Khud Hee Bujha Doon Os Ko,
Hijr Ki Nazar Tou Deni Hai Osay,
Sochta Hoon Ke Bhulaa Doon Os Ko,
Jo Nahee Hai Meray Dil Ki Dunya,
Kyun Na Mein ‘Jhon’ Mita Doon Os Ko ?

Mujh Ko Bhi, Bewafa Samajhta Hai


Mujh Ko Bhi, Bewafa Samajhta Hai
Jaanay Wo Khud Ko Kia Samajhta Hai ?
Mein Tou Manzil Samajhta Hun Osko
Wo Mujhe Raasta Samajhta Hai
Zakham Apna Dikha Raha Hun Ose
Jo Namak Ko Dawaa Samajhta Hai
Had Tou Ye Hai Ke Bhaint Charh Ke Bhi
Dil Ose Devtaa Samajhta Hai
Mera Mayaar Jag Mein Hai Hee Kahan ?
Jag Mujhe, Paarsa Samajhta Hai
Yaani ! Itna Sitam Tou Seh Lega ?
Jitna Sab Per Rawaa Samajhta Hai
Osko Ehraam-e-Misar Dikhlao
Jo Bhi Khud Ko Khudaa Samajhta Hai
Aaj Ke Dour Mein Jafaa Ko Janaab
Sirf Paagal, Jafaa Samajhta Hai
Aqal Mand Aadmi, Mohabbat Ko
Aqal Se Maawra Samajhta Hai
Qais Ka Kia Banay Ga, Laila Ko ?
Aakhri Aasra Samajhta Hai……..!

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
 
Twitter Bird Gadget