Tuesday, March 27, 2012

Kabhi qurbat ke lamhon main


Kabhi qurbat ke lamhon main thhikana bhool jatay hain
Kabhi furqat ka teri hum fasaana bhool jatay hain
Sitam hay ye mohabat main tum jisko isqadar chaho
Oosi ke aarzo main hum zamana bhool jatay hain
Chhupa kar baithh jatay hain naseebon ka diya zaiwer
Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain
Bas apni zaat main kho kar apna he ziker karna
Kisi doojay ka koe gham othhana bhool jatay hain
Ser-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main
Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain
Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko
Khatam karkay wafa’on ka zamana bhool jatay hain
Tumhari aarzo main hum hooway roswa zamanay main
Ye marg-e-jaan say pehlay batana bhool jatay hain
Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ke halat ko
Magar apni khata’on ko dikhana bhool jatay hain

0 comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
 
Twitter Bird Gadget