Monday, March 26, 2012

Ahmad Faraz Poetry , Hui Hai Shaam Tou


Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu,
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu,
Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se,
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,
Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huu.N
Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu,
Mai.n Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii
Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu,
Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai
Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,?
‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa
Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu..

0 comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
 
Twitter Bird Gadget