Showing posts with label Romantic Pictures. Show all posts
Showing posts with label Romantic Pictures. Show all posts

Thursday, April 12, 2012

Khoya Tumhay Aisay Kay

Khoya Tumhay Aisay Kay Apna Nishaa’n Kho Baithay
Na Pa Sakay Manzilain Aur Karwaa’n Kho Baithay

Ajab Saneha, Hay Sab Kuch, Aur Sara Jahaa’n Kho Baithay
Qadmon Say Zamee’n Serkee, Sar Say Aasmaa’n Kho Baithay

Hooey Afshaa Raaz Sab Aur Raazdaa’n Kho Baithay
Sehraa Main Hain Kharay Aur Gulsitaa’n Kho Baithay

Dushman Hooa Zamana, Halqa-e-Dostaa’n Kho Baithay
Bass Yaad Rahee’n Galyaa’n Un Ki Apna Makaa’n Kho Baithay

Toofaan-e-Baad-o-Baraa’n Main Ham Aashiyaa’n Kho Baithay
Khoya Tumhay Aisay Kay Apna Nishaa’n Kho Baithay


Tumhari Un-Kahi Baatein,

Tumhari Un-Kahi Baatein,
Tumhari Un-Kahi Ghazlein,,

Jab Bhi Main Gungunat Hon,
Tum Aksar "YaaD" Aatey Ho.. . . 

Tumhara Wo Bichar Jana,
Bichar K Phir Se Mil Jana,,

Meri Khamosh Baaton Ko Bhi Sun'na Aur Samajh Jana,,

Main Jab Mehsoos Karta Hon Tum Aksar "YaaD " atay ho


Sunday, April 8, 2012

Romantic Pictures





Romantic Pictures

 Romantic Pictures
 Romantic Pictures
 Romantic Pictures

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
 
Twitter Bird Gadget