Monday, April 16, 2012

Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain

Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain
jin rahon per chaltey hain wohi, rahein badal jati hain

karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein
sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain

woh aisa hai k us ka naam sunney k tasawwur say hi
hamari tamaam tar sAatein badal jati hain

sochti hoon jane kaise? kah paoon ghi main us say
milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain

chahe "Manzil" "Dushwar" ho aur "Duur" bhi
humsafer us jaisa ho to musaftein badal jati hain

yun to "Raat" ka alam haseen hota hai, madhosh bhi
magar"chand" dekhoon to meri ratein badal jati hain

mat chaho, k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki
yeh na ho log kahein, jald hi adatein badal jati hain


0 comments:

Post a Comment

 
Twitter Bird Gadget