Tuesday, March 27, 2012

Saaray Dard Nazar Aayein Ge Ghar Se Baahir


Saaray Dard Nazar Aayein Ge Ghar Se Baahir
Jis Din Mein Nikloon Ga Pas-e-Manzar Se Baahir
Laakh Samaitay Rakhun Per Jaanay Anjaanay
Ho Jaatay Hain Paaon Mere Chaadar Se Baahir
Kub Se Hain Ankhiaan Tere Darshan Ki Pyaasi
Darsh Dikha De Aa Bhi Ja Pathar Se Baahir
Phele Jis Ki Aankh Nishaanay Per Thi Mere
Ab Wo Chirya Bhi Hai Had-e-Nazar Se Baahir
Aaj Bhi Mein Khul Kar Sach Bol Nahi Sakta Hun
Ab Bhi Nahi Hun Os Ke Hisaar-e-Shar Se Baahir
Jisko Mein Ne Sadi Ka Roop Dia Tha Azar
Ab Wo Lamha Bhi Hai Mere Asar Se Baahir

0 comments:

Post a Comment

 
Twitter Bird Gadget