Tuesday, March 27, 2012

Ghazal Sayari Dil e Dimaag ko Ro Loongaa


Dil-o-Dimaag ko Ro Loongaa Aah Kar Loongaa
Tumhaare Ishq Mein Sab kuch Tabah Kar Loongaa,
Agar Mujhe Na Milein Tum Tumhaare Sar ki Qasam
Main Apni Saari Jawaani Tabaah Kar Loongaa,
Mujhe Jo Dair-o-Haram Mein kaheen Jagah Na Mili
Tere Khiyaal Hi ko Sajdaagaah Kar Loongaa,
Jo Tum Se kar Diyaa Mehroom Aasmaan Ne Mujhe
Main Apani Zindagi Sarf-e-Gunaah Kar Loongaa,
Raqeeb Se Bhi Milongaa Tumhaare Hukm Pe Main
Jo Ab Talak Na kiyaa Thaa Ab Aah Kar Loongaa,
Tumhaari Yaad Mein Main kaat Doongaa Hashr K Din
Tumhaare Hijr Mein Raaten Siyaah kar Loonga,
Hareem-e-Hazrat-e-Salamaa ki Simt Jaataa Hoon
Howa Na zabt To Chupake Se Aah Kar Loongaa,
Yeh Naubahaar Yeh Abr-o-Hawaa Yeh Rang-e-Sharaab
Chalo Jo Ho So Ho Ab To Gunaah Kar Loongaa,
kisi Haseenaa Kay Masoom Ishq Mein “Akhtar”
Jawaani kiya Hai Main sab kuch Tabah Kar Loongaa.

0 comments:

Post a Comment

 
Twitter Bird Gadget