Monday, March 26, 2012

Abbas Tabish Poetry , Pani ankh main bhar ke laya ja sakta hai


Pani ankh main bhar k laya ja sakta hai
ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai
aik mohabat aur wo bhi nakam mobhat
lekin is se kam chaleya ja sakta hai
Dil par pani piny ati hain umeeden
is chashmy main zeher milaya ja sakta hai
mujh benam se pujhty hain Farhad-o-Majnoo
ishq main kitna naam kamaya ja sakta hai
phatta puran khwab hai mera phir bhi Tabish
is main apna aap chupaya ja sakta hai


0 comments:

Post a Comment

 
Twitter Bird Gadget